Humnava
hey, humnava mujhe apna bana le
sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de
hmm, hoon akela, zara haath badha de
sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de
kab se main dar dar phir raha
musaafir dil ko panaah de
tu awaargi ko meri aaj thehra de
ho sake toh thoda pyaar jataa de
sookhi padi iss dil ki zameen ko bhiga de
murjhaayi si shaakh pe dil ki
phool khilte hain kyun
baat gulon ki zikr mehak ka
acha lagta hai kyun
un rango se tune milaaya
jinse kabhi main mill na paaya
dil karta hai tera shukriya
phir se bahaare tu laa de
dil ka soona banjar mehka de
sukhi padi dil ki is zameen ko bhiga de
hmm, hoon akela, zara haath badha de
sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de
waise toh mausam guzre hain
zindagi mein kayi
par ab naa jaane kyun mujhe wo
lag rahe hain haseen
tere aane par jaana maine
kahin na kahin zinda hoon main
jeene lagaa hoon main ab ye fizaayein
chehre ko chhooti hawaayein
inki tarah do kadam toh badha le
sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de
oh, hoon akela, zara haath badha de
sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de
Por el momento, a nadie le gusta este artículo
Comments
Hey! You're in luck, no one has commented on this article yet. Be the first one and leave your comment.
You need to be registered to leave comments.
Log in with your user account and enjoy all the benefits.
Create your account ó Sign in / Log in